How to get adsense approval on blogspot domain

Hello guys aap log kesie hai umeed karta hu ki bahut acche honge guys aaj ka jo topic hai na vo bahut important aur intresting hone wala hai beginners ke liye kyu ki aaj mai battaunga ki hum apna adsense kesie approved karayie aur vo bhi ek bar me hi on blogspot remain to chaliye apna topic start karte hai aur aap logo se request hai ki hume follow zaroor kar le.



    Introduction 

    Guys mera Question hai aap logo se ki app ke pass do friends hai ek to bahut purana hai aur ek bas 5min pehle banna hai to aap ko usse dene hai passie to aap kispe trust karo ge due to human physiology purane wale pe to guys adsense ka bhi essa hi adsense one of the biggest unit of advertisements jo ki ads provide karti hai to vo aap ko kyu degi approval starting me hi bahut se log starting me hi aate hai aur na customize karte hai aur na hi jada post hota hai unka bas application dal dete hai approval ke liye phir kehte hai ki adsense hume approval nahi deti hai guys khud hi socho ki vo kyu degi aap ko approval jab tak aap ke content adsense friendly aur unique nahi honge ya phir aap ki website presentable na ho Google ads ke liye ya responsive template na ho ab count karne battho to bahut se reason hai guys ek-ek kar ke mai battaunga ki kesie karna hai aap ko step by step on blogspot aur agar aap ke pass domain hai tab aur accha hai lekin abhi to mai shirf free wala hi battaunga kyu ki bahut se blogger abhi student hi hai aur unke pass passie nahi hai to starting me guys aap log thoda sa earn karne ke baad ek domain zaroor le lena agar issme apna profession bannana hai to ya phir long time earning karni hai tab bhi domain ek le lena.

    Your blog is currently not qualified for adsense 

    Guys hume ye problem to zaroor dekhne ko milti hogi bahut ye isshi wassie se blogging left kar dete hai vo soachte hai ki mai post to likh raha hu par qualifie kyu nahi ho raha hai adsense ke liye to guys panic hone ki zaroorat nahi hai mere sath bhi hua tha aur sabke sath bhi ye hi problem aati hai to qb baat aati hai ki isse solve kesie kare guys bahut simple hai isse solve karna
    1. Guys abhi aap ko thoda wait karna hai abhi aap new aayie ho Google pe abhi aap ko unka trust jitna hai thoda time lage ga 20-30 din bhi lag sakhte hai ya phir isse jaldi bhi ho jata hai aap logo ko panic nahi hona post likhte rehna hai.
    2. Guys adsense ne apni policy me lound and clear batta rakha hai ki vo copied content ko tolerate nahi kare gi aap ne agar koi content copy kiya hai ya phir thoda change kar ke likha hai tab bhi ya phir aap ne copyright image use kiya hai tab bhi aap ke website pe signup ka option nahi dekhne ko mile ga.
    3. Ya phir aap ke website pe kuch essa hai jo adsense ke policy ka oppose karti ho jessie(game,musicand movie downloading website,lyrics website etc) tab bhi aap ko ye button show nahi kare ga.

    Why our application gets rejected 

    Guys ye sab kuch depend karta hai humere content aur humari website pe guys agar humere website pe signup button show bhi karta hai tab bhi hume 1 month se pehle signup nahi karna hai nahi to adsense ko aap pe bilkul bhi trust nahi hoga aur vo aap ko approval nahi dega baki dusara aata hai aap ka content agar aap ka content unique hai aur aap kisis ko kuch sikha rehe ho tab to aap ko koi dikat nahi aaayie gi par aap kar rehe ho iska ulta aur aap ke post jada acche nahi hai ya phir bahut zada available hai Google pe tab bhi aap ko approval nahi mile ga aur guys aap ka template agar aap ka template fully customize nahi hai tab bhi aap ko approval nahi mile ga aur bhi reasone jiake wassie se humera site reject ho jata hai aur vo mai aage battaunga ga.

    Requirements for adsense approval 

    1. Aap ka domain hai vo minimum 1 month purna hona cahiye bahut se aap ko ye bhi bolenge ki 6-7 months older hona chahiye nahi to approval nahi mile ga to guys mai clear kar du vo jo time hota hai vo hota hai ranking time 6-7 months ke baad humera jo post hota ahi vo rank krne lagta hai baki aur kuch nahi hota ahai vo just for ranking purpose not for approval. 
    2. Aap ke website pe koi bhi essa content nahi hona chahiye jo adsense ke policy vo violate karta hai jesse (coppied content,downloading website,lyrics website....etc).
    3. Aap ka jo template hai vo well customize hone cahiye aur responsive hona chiye (adsense aswell as phone also).
    4. Aap ke website pe sare pages hone cahiye jessie (disclaimer,privacy policy,contact us,about us).
    5. Aap ke sare post Google search engine pe submit hone chahiye.
    6. Aap ke website ka sitemap map bhi submitted hona cahiye.

    Conclusion 

    Guys agar aap ke pass bahut acche content hi kyu na ho yar phir unique content hi kyu na ho agar aapn ne apne website ke template ko acche se customize nahi kara hai to aap ki sari mehnat waste ho jayie gi guys aap log customize karne ke baad niche apne website ka copyright bhi laga dena vo jada impressive lage ga mai aage past likhunga customization pe to aap logo ko help mil jayie gi aur guys time to time seo karte rehna aur website ka sitemap aur search engine pe post ko zaroor submit kar dena aur baki blogging ek journey hai experience se hi aayie ga aur guys agar aap seo nahi bhi akro ge tab bhi seo hota rhta hai Google bhi apne taraf se seo kata hai lekin usme bahut time lagta hai to iske liye hume bhi khud se seo karna padhta hai. Aur guys post kesia laga comment box me battao aur koi doubt hai to vo bhi contact us se puch sakhte ho i will definitely cure your doubt.

    Share this:

    CONVERSATION

    0 Comments:

    Post a Comment

    Do not spam any link